shikaayat kar ke gussa aur un ka tez karna hai
abhi to guftugoo-e-maslahaat-aamez karna hai
ye duniya jaa-e-aasaish nahin hai aazmaish hai
yahan jo sakhtiyan tujh par padeen angez karna hai
ghazal-khwaani ko tu is bazm mein aaya nahin naadir
tujhe yaa vaaz kehna pand-e-sood-aamez karna hai
शिकायत कर के ग़ुस्सा और उन का तेज़ करना है
अभी तो गुफ़्तुगू-ए-मस्लहत-आमेज़ करना है
ये दुनिया जा-ए-आसाइश नहीं है आज़माइश है
यहाँ जो सख़्तियाँ तुझ पर पड़ीं अंगेज़ करना है
ग़ज़ल-ख़्वानी को तू इस बज़्म में आया नहीं 'नादिर'
तुझे याँ वाज़ कहना पंद-ए-सूद-आमेज़ करना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadir Kakorvi
our suggestion based on Nadir Kakorvi
As you were reading Gussa Shayari Shayari