fer leta hai muqaddar ho ke munh jis se kahein
haaye jo jee par guzarti hai vo ham kis se kahein
maane-e-arz-e-tamannaa kyun na ho rask-e-raqeeb
un se ham kehne na paaye un ke monis se kahein
naadir is mehfil mein hain vo naam ke sadr-anjuman
aap ko kehna ho jo kuchh ahl-e-majlis se kahein
फेर लेता है मुकद्दर हो के मुँह जिस से कहें
हाए जो जी पर गुज़रती है वो हम किस से कहें
माने-ए-अर्ज़-ए-तमन्ना क्यूँ न हो रश्क-ए-रक़ीब
उन से हम कहने न पाएँ उन के मोनिस से कहें
'नादिर' इस महफ़िल में हैं वो नाम के सद्र-अंजुमन
आप को कहना हो जो कुछ अहल-ए-मज्लिस से कहें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nadir Kakorvi
our suggestion based on Nadir Kakorvi
As you were reading Jashn Shayari Shayari