maahi-e-reg hoon ghar mera samundar kar de
mauj-dar-mauj ki tughyaani muqaddar kar de
be-hisi ki hai qaba rooh ke tan par ya-rab
us ko ehsaas ki khushboo se mo'attar kar de
ik zamaane se diya hi na jala is ghar mein
dil ko iqaan ki mash'al se munavvar kar de
kitna paayaab hai gehraai ata kar yaarab
dasht-e-afkaar ko ik roz samundar kar de
vo kisi mod pe mil jaaye to main munh ferun
mere allah mere dil ko bhi patthar kar de
माही-ए-रेग हूँ घर मेरा समुंदर कर दे
मौज-दर-मौज की तुग़्यानी मुक़द्दर कर दे
बे-हिसी की है क़बा रूह के तन पर या-रब
उस को एहसास की ख़ुशबू से मोअ'त्तर कर दे
इक ज़माने से दिया ही न जला इस घर में
दिल को ईक़ान की मशअ'ल से मुनव्वर कर दे
कितना पायाब है गहराई अता कर यारब
दश्त-ए-अफ़्कार को इक रोज़ समुंदर कर दे
वो किसी मोड़ पे मिल जाए तो मैं मुँह फेरूँ
मेरे अल्लाह मिरे दिल को भी पत्थर कर दे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafees Bano
our suggestion based on Nafees Bano
As you were reading Samundar Shayari Shayari