zindagi tu ne kabhi khud ko sanwaara bhi nahin
jhilmilata tire maathe pe sitaara bhi nahin
sar tikaaya hi tha deewaar pe aankhen chalkin
aaj vo waqt hai tinke ka sahaara bhi nahin
gaav ke kacche makaan boodhe shajar yaad aaye
shahr-e-be-dard mein ab mera guzaara bhi nahin
lafz ne aahen bhariin aur qalam bhi roya
dard kaaghaz pe abhi ham ne utaara bhi nahin
vo chamakti hai andheron mein sitaaron ki tarah
dhang se jis ne kabhi khud ko sanwaara bhi nahin
ज़िंदगी तू ने कभी ख़ुद को सँवारा भी नहीं
झिलमिलाता तिरे माथे पे सितारा भी नहीं
सर टिकाया ही था दीवार पे आँखें छल्कीं
आज वो वक़्त है तिनके का सहारा भी नहीं
गाँव के कच्चे मकाँ बूढे शजर याद आए
शहर-ए-बे-दर्द में अब मेरा गुज़ारा भी नहीं
लफ़्ज़ ने आहें भरीं और क़लम भी रोया
दर्द काग़ज़ पे अभी हम ने उतारा भी नहीं
वो चमकती है अँधेरों में सितारों की तरह
ढंग से जिस ने कभी ख़ुद को सँवारा भी नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafees Bano
our suggestion based on Nafees Bano
As you were reading Chehra Shayari Shayari