chashm-e-sail-e-ravaan se uthhega | चश्म-ए-सैल-ए-रवाँ से उट्ठेगा

  - Nafees Taqi

chashm-e-sail-e-ravaan se uthhega
dard phir khaak-e-jaan se uthega

kab kis aasmaan se uthega
hashr soz-e-nihaan se uthega

meer ka soz hi jigar mein nahin
phir dhuaan sa kahaan se uthega

jis ke maathe pe chaand raushan hai
surkh-roo vo jahaan se uthega

noor ke lafz padh ke soya hai
ab sada-e-azaan se uthega

चश्म-ए-सैल-ए-रवाँ से उट्ठेगा
दर्द फिर ख़ाक-ए-जाँ से उठेगा

कब किस आसमाँ से उठेगा
हश्र सोज़-ए-निहाँ से उठेगा

'मीर' का सोज़ ही जिगर में नहीं
फिर धुआँ सा कहाँ से उठेगा

जिस के माथे पे चाँद रौशन है
सुर्ख़-रू वो जहाँ से उठेगा

नूर के लफ़्ज़ पढ़ के सोया है
अब सदा-ए-अज़ाँ से उठेगा

  - Nafees Taqi

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nafees Taqi

As you were reading Shayari by Nafees Taqi

Similar Writers

our suggestion based on Nafees Taqi

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari