kabhi aahon kabhi ashkon ki paziraai hai | कभी आहों कभी अश्कों की पज़ीराई है

  - Nafees Taqi

kabhi aahon kabhi ashkon ki paziraai hai
aap ki bazm se behtar meri tanhaai hai

jis se ubhara na kabhi doobne waala koi
teri aankhon mein usi jheel ki gehraai hai

aaj ik jaan-e-haya phool se rukhsaaron par
rang kashmir ke sebon ka chura laai hai

baagbaan ham ne lahu apna bahaaya pehle
tab kahi ja ke gulistaan mein bahaar aayi hai

meri aaghosh mein aate hi pighal jaaoge
barf ne bhi kahi sholoon mein amaan paai hai

us ne gholaa hai fazaaon mein tarannum shaayad
gungunaati hui jo baad-e-saba aayi hai

bahr-e-jazbaat mein toofaan machal jaate hain
teri raftaar ne kya shokh-ada paai hai

कभी आहों कभी अश्कों की पज़ीराई है
आप की बज़्म से बेहतर मिरी तन्हाई है

जिस से उभरा न कभी डूबने वाला कोई
तेरी आँखों में उसी झील की गहराई है

आज इक जान-ए-हया फूल से रुख़्सारों पर
रंग कश्मीर के सेबों का चुरा लाई है

बाग़बाँ हम ने लहू अपना बहाया पहले
तब कहीं जा के गुलिस्ताँ में बहार आई है

मेरी आग़ोश में आते ही पिघल जाओगे
बर्फ़ ने भी कहीं शो'लों में अमाँ पाई है

उस ने घोला है फ़ज़ाओं में तरन्नुम शायद
गुनगुनाती हुई जो बाद-ए-सबा आई है

बहर-ए-जज़्बात में तूफ़ान मचल जाते हैं
तेरी रफ़्तार ने क्या शोख़-अदा पाई है

  - Nafees Taqi

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nafees Taqi

As you were reading Shayari by Nafees Taqi

Similar Writers

our suggestion based on Nafees Taqi

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari