intihaa-e-ishq ka is din tamasha dekhna | इंतिहा-ए-इश्क़ का इस दिन तमाशा देखना

  - Nafees Taqi

intihaa-e-ishq ka is din tamasha dekhna
tum mere gharqaab hone ka nazaara dekhna

saamne toofaan hai aur dil mein hai azm-e-safar
main samundar dekhta hoon tum kinaara dekhna

cheen li khush-fahmiyon ne ham se jab beenaai bhi
be-hisi is darja ho to aaina kya dekhna

dastkon par dastaken hain har dar-e-ehsaas par
apni barbaadi ka na ho kuchh ishaara dekhna

us ke kooche se nikal kar aa gaye to phir nafees
har dayaar-e-naaz mein khoon-e-tamanna dekhna

इंतिहा-ए-इश्क़ का इस दिन तमाशा देखना
तुम मिरे ग़र्क़ाब होने का नज़ारा देखना

सामने तूफ़ान है और दिल में है अज़्म-ए-सफ़र
मैं समुंदर देखता हूँ तुम किनारा देखना

छीन ली ख़ुश-फ़हमियों ने हम से जब बीनाई भी
बे-हिसी इस दर्जा हो तो आइना क्या देखना

दस्तकों पर दस्तकें हैं हर दर-ए-एहसास पर
अपनी बर्बादी का ना हो कुछ इशारा देखना

उस के कूचे से निकल कर आ गए तो फिर 'नफ़ीस'
हर दयार-ए-नाज़ में ख़ून-ए-तमन्ना देखना

  - Nafees Taqi

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nafees Taqi

As you were reading Shayari by Nafees Taqi

Similar Writers

our suggestion based on Nafees Taqi

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari