har kisi dar pe kahaan sajda rawa rakhte hain
ham muwahhid hain faqat ek khuda rakhte hain
vo kaddi dhoop mein rahmat ki ghatta rakhte hain
sar pe maa baap ki jo log dua rakhte hain
daagh daaman pe nahin naqsh-e-wafa rakhte hain
ham mohibbaan-e-watan ujli qaba rakhte hain
zakham jo tu ne diya dil mein saja rakhte hain
lazzat-e-karb ke nakhun se haraa rakhte hain
tum to phir apne ho apnon se adavat kaisi
ham to dushman pe bhi darwaaza khula rakhte hain
jagmaga uthata hai tareek muqaddar un ka
khoon apna jo charaagon mein bhara rakhte hain
हर किसी दर पे कहाँ सज्दा रवा रखते हैं
हम मुवह्हिद हैं फ़क़त एक ख़ुदा रखते हैं
वो कड़ी धूप में रहमत की घटा रखते हैं
सर पे माँ बाप की जो लोग दुआ रखते हैं
दाग़ दामन पे नहीं नक़्श-ए-वफ़ा रखते हैं
हम मोहिब्बान-ए-वतन उजली क़बा रखते हैं
ज़ख़्म जो तू ने दिया दिल में सजा रखते हैं
लज़्ज़त-ए-कर्ब के नाख़ुन से हरा रखते हैं
तुम तो फिर अपने हो अपनों से अदावत कैसी
हम तो दुश्मन पे भी दरवाज़ा खुला रखते हैं
जगमगा उठता है तारीक मुक़द्दर उन का
ख़ून अपना जो चराग़ों में भरा रखते हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nafees Taqi
our suggestion based on Nafees Taqi
As you were reading Ujaala Shayari Shayari