sab baarishen ho ke tham chuki theen
roohon mein dhanak utar rahi thi
main khwaab mein baat kar raha tha
vo neend mein pyaar kar rahi thi
ahvaal hi aur ho rahe the
lazzat mein visaal ro rahe the
boson mein dhule-dhulaaye dono
nashshe mein lipt ke so rahe the
chhota sa haseen sa vo kamra
ik aalam-e-khwaab ho raha tha
khushboo se gulaab ho raha tha
masti se sharaab ho raha tha
vo chaanv sa chaandni sa bistar
ham rang naha rahe the jis par
yun tha ki ham apni zaat ke andar
the apna hi ek aur manzar
sairaab mohabbaton ke dhaare
baaham the vujood ke kinaare
mauzoo-e-sukhan sukhun the saare
aalam hi ajeeb the hamaare
jaage vo lahu mein silsile phir
tan man ke wahi the zaa'iqe phir
tham tham ke baras baras gaye phir
paataal tak ho gaye hare phir
jaari tha vo raqs-e-ham-kinaari
nikli nayi subh ki sawaari
aisa laga kaayenaat saari
is aan to hai faqat hamaari
jab chaand mera naha ke nikla
main dil ko diya bana ke nikla
kashkol-e-dua utha ke nikla
shayar tha sada laga ke nikla
dariya vo samundron se gehre
vo khwaab gulaab aise chehre
sab zaaviyon ho gaye sunhare
aainon mein jab vo aa ke thehre
सब बारिशें हो के थम चुकी थीं
रूहों में धनक उतर रही थी
मैं ख़्वाब में बात कर रहा था
वो नींद में प्यार कर रही थी
अहवाल ही और हो रहे थे
लज़्ज़त में विसाल रो रहे थे
बोसों में धुले-धुलाए दोनों
नश्शे में लिपट के सो रहे थे
छोटा सा हसीन सा वो कमरा
इक आलम-ए-ख़्वाब हो रहा था
ख़ुश्बू से गुलाब हो रहा था
मस्ती से शराब हो रहा था
वो छाँव सा चाँदनी सा बिस्तर
हम रंग नहा रहे थे जिस पर
यूँ था कि हम अपनी ज़ात के अंदर
थे अपना ही एक और मंज़र
सैराब मोहब्बतों के धारे
बाहम थे वजूद के किनारे
मौज़ू-ए-सुख़न, सुख़न थे सारे
आलम ही अजीब थे हमारे
जागे वो लहू में सिलसिले फिर
तन मन के वही थे ज़ाइक़े फिर
थम थम के बरस बरस गए फिर
पाताल तक हो गए हरे फिर
जारी था वो रक़्स-ए-हम-किनारी
निकली नई सुब्ह की सवारी
ऐसा लगा काएनात सारी
इस आन तो है फ़क़त हमारी
जब चाँद मिरा नहा के निकला
मैं दिल को दिया बना के निकला
कश्कोल-ए-दुआ उठा के निकला
शायर था सदा लगा के निकला
दरिया वो समुंदरों से गहरे
वो ख़्वाब गुलाब ऐसे चेहरे
सब ज़ावियों हो गए सुनहरे
आईनों में जब वो आ के ठहरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Obaidullah Aleem
our suggestion based on Obaidullah Aleem
As you were reading Wajood Shayari Shayari