raat ke gumbad mein yaadon ka basera ho gaya hai | रात के गुम्बद में यादों का बसेरा हो गया है

  - P P Srivastava Rind

raat ke gumbad mein yaadon ka basera ho gaya hai
chaand ki qindeel jalte hi ujaala ho gaya hai

khaamoshi ki aandhiyaan baagi nazar aati hain mujh ko
raat kaali hai to sannaata bhi kaala ho gaya hai

ab mohabbat hai muravvat hai na ab inkisaari
aaj ke is daur mein har shakhs nangaa ho gaya hai

qissa-e-reg-e-ravaan jab aandhiyon ki zad pe aaya
dhund ka hairat-zada aaseb tanhaa ho gaya hai

रात के गुम्बद में यादों का बसेरा हो गया है
चाँद की क़िंदील जलते ही उजाला हो गया है

ख़ामुशी की आँधियाँ बाग़ी नज़र आती हैं मुझ को
रात काली है तो सन्नाटा भी काला हो गया है

अब मोहब्बत है मुरव्वत है न अब इंकिसारी
आज के इस दौर में हर शख़्स नंगा हो गया है

क़िस्सा-ए-रेग-ए-रवाँ जब आँधियों की ज़द पे आया
धुँद का हैरत-ज़दा आसेब तन्हा हो गया है

  - P P Srivastava Rind

Nigaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by P P Srivastava Rind

As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind

Similar Writers

our suggestion based on P P Srivastava Rind

Similar Moods

As you were reading Nigaah Shayari Shayari