saazishon ki bheed mein taariqiyaan sar par uthaaye
badh rahe hain shaam ke saaye dhuaan sar par uthaaye
reg-zaaron mein bhatkati soch ke kuchh khushk lamhe
talkhi-e-haalat ki hain dastaan sar par uthaaye
khwahishon ki aanch mein tapte badan ki lazzaaten hain
aur wahshi raat hai gumraahiyaan sar par uthaaye
chand goongi dastaken hain ghar ke darwaaze ke baahar
cheekh sannaaton ki hai saara makaan sar par uthaaye
zehan mein thehri hui hai ek aandhi muddaton se
ham magar firte rahe reg-e-ravaan sar par uthaaye
aalam-e-la-waarsi mein jaane kab se dar-b-dar hoon
pusht par maazi ko laade qarz-e-jaan sar par uthaaye
muztarib si rooh hai meri bhatkata phir raha hoon
main kai janmon se hoon baar-e-giraan sar par uthaaye
rind jab be-samtiyon mein khushk patte ud rahe hon
tohmaten kis ke liye shaam-e-khizaan sar par uthaaye
साज़िशों की भीड़ में तारीकियाँ सर पर उठाए
बढ़ रहे हैं शाम के साए धुआँ सर पर उठाए
रेग-ज़ारों में भटकती सोच के कुछ ख़ुश्क लम्हे
तल्ख़ी-ए-हालात की हैं दास्ताँ सर पर उठाए
ख़्वाहिशों की आँच में तपते बदन की लज़्ज़तें हैं
और वहशी रात है गुमराहियाँ सर पर उठाए
चंद गूँगी दस्तकें हैं घर के दरवाज़े के बाहर
चीख़ सन्नाटों की है सारा मकाँ सर पर उठाए
ज़ेहन में ठहरी हुई है एक आँधी मुद्दतों से
हम मगर फिरते रहे रेग-ए-रवाँ सर पर उठाए
आलम-ए-ला-वारसी में जाने कब से दर-ब-दर हूँ
पुश्त पर माज़ी को लादे क़र्ज़-ए-जाँ सर पर उठाए
मुज़्तरिब सी रूह है मेरी भटकता फिर रहा हूँ
मैं कई जन्मों से हूँ बार-ए-गिराँ सर पर उठाए
'रिंद' जब बे-सम्तियों में ख़ुश्क पत्ते उड़ रहे हों
तोहमतें किस के लिए शाम-ए-ख़िज़ाँ सर पर उठाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind
our suggestion based on P P Srivastava Rind
As you were reading Aawargi Shayari Shayari