ehsaas-e-be-talab ka hi ilzaam do hamein
ruswaaiyon ki bheed mein inaam do hamein
khuddaariyon ki dhoop mein aaraam do hamein
sougaat mein hi gardish-e-ayyaam do hamein
ehsaas-e-lams jism ki is bheed mein kahaan
kaali rutein gunaah ka paighaam do hamein
gum-sum hisaar-e-rabt mein hai lamha-e-azaab
khwaahish ka karb fitrat-e-badnaam do hamein
be-zaariyon ko dasht-e-nafs mein samet kar
dard-aashna junoon ke ahkaam do hamein
dasht-e-saraab-e-sang hai maazi ka iztiraab
gar ho sake to mustaqil aaraam do hamein
sougaat mein mili hai mujhe raayegaan shafaq
kis ne kaha hai is ka bhi ilzaam do hamein
yaadon ka ik hujoom hai ai rind aur ham
furqat nahin hai in dinon aaraam do hamein
एहसास-ए-बे-तलब का ही इल्ज़ाम दो हमें
रुस्वाइयों की भीड़ में इनआम दो हमें
ख़ुद्दारियों की धूप में आराम दो हमें
सौग़ात में ही गर्दिश-ए-अय्याम दो हमें
एहसास-ए-लम्स जिस्म की इस भीड़ में कहाँ
काली रुतें गुनाह का पैग़ाम दो हमें
गुम-सुम हिसार-ए-रब्त में है लम्हा-ए-अज़ाब
ख़्वाहिश का कर्ब फ़ितरत-ए-बदनाम दो हमें
बे-ज़ारियों को दश्त-ए-नफ़स में समेट कर
दर्द-आश्ना जुनून के अहकाम दो हमें
दश्त-ए-सराब-ए-संग है माज़ी का इज़्तिराब
गर हो सके तो मुस्तक़िल आराम दो हमें
सौग़ात में मिली है मुझे राएगाँ शफ़क़
किस ने कहा है इस का भी इल्ज़ाम दो हमें
यादों का इक हुजूम है ऐ 'रिंद' और हम
फ़ुर्सत नहीं है इन दिनों आराम दो हमें
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind
our suggestion based on P P Srivastava Rind
As you were reading Diwangi Shayari Shayari