nashaat-e-dard ke mausam mein gar nami kam hai
fazaa ke barg-e-shafaq par bhi taazgi kam hai
saraab ban ke khalaon mein gum nazaara-e-samt
mujhe laga ki khalaon mein raushni kam hai
ajeeb log hain kaanton pe phool rakhte hain
ye jaante hue in mein muqaddari kam hai
na koi khwaab na yaadon ka be-karaan sa hujoom
udaas raat ke kheme mein dilkashi kam hai
main apne-aap mein bikhra hua hoon muddat se
agar main khud ko sametoon to zindagi kam hai
khuli chhato pe dupatte hawa mein udte nahin
tumhaare shehar mein kya aasmaan bhi kam hai
puraani soch ko samjhen to koi baat bane
jadeed fikr mein ehsaas-e-naghmagi kam hai
kahaan se laaoge ai rind mo'tabar mazmoon
ghazal mein jabki rivaayat ki chaashni kam hai
नशात-ए-दर्द के मौसम में गर नमी कम है
फ़ज़ा के बर्ग-ए-शफ़क़ पर भी ताज़गी कम है
सराब बन के ख़लाओं में गुम नज़ारा-ए-सम्त
मुझे लगा कि ख़लाओं में रौशनी कम है
अजीब लोग हैं काँटों पे फूल रखते हैं
ये जानते हुए इन में मुक़द्दरी कम है
न कोई ख़्वाब न यादों का बे-कराँ सा हुजूम
उदास रात के ख़ेमे में दिलकशी कम है
मैं अपने-आप में बिखरा हुआ हूँ मुद्दत से
अगर मैं ख़ुद को समेटूँ तो ज़िंदगी कम है
खुली छतों पे दुपट्टे हवा में उड़ते नहीं
तुम्हारे शहर में क्या आसमान भी कम है
पुरानी सोच को समझें तो कोई बात बने
जदीद फ़िक्र में एहसास-ए-नग़्मगी कम है
कहाँ से लाओगे ऐ 'रिंद' मो'तबर मज़मून
ग़ज़ल में जबकि रिवायत की चाशनी कम है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind
our suggestion based on P P Srivastava Rind
As you were reading Fantasy Shayari Shayari