fazaa mein karb ka ehsaas gholti hui raat | फ़ज़ा में कर्ब का एहसास घोलती हुई रात

  - P P Srivastava Rind

fazaa mein karb ka ehsaas gholti hui raat
havas ki khidkiyaan darwaaze kholti hui raat

ajeeb rishte banaati hai tod deti hai
nayi rutoon ke safeeron se bolti hui raat

ye dhadkano ke andhere ye zakham zakham charaagh
kiwaad khaali makaanon ke kholti hui raat

athaah gahra andhera gazab ka sannaata
fazaa mein dard ka tezaab gholti hui raat

kidhar se aati hai aawaara khushbuon ki tarah
barhana jism ke saaye tatolti hui raat

na ratjagon ke hain charche na koi gham ka alaav
sambhal ke aaye zara ghar mein dolti hui raat

kahaan se laayenge sabr-o-sukoon ke lamhe
ki mere ghar mein hai kohraam taulti hui raat

hamaare saath hai tanhaaiyon ki bheed mein rind
kisi ke lams ki khairaat roltee hui raat

फ़ज़ा में कर्ब का एहसास घोलती हुई रात
हवस की खिड़कियाँ दरवाज़े खोलती हुई रात

अजीब रिश्ते बनाती है तोड़ देती है
नई रुतों के सफ़ीरों से बोलती हुई रात

ये धड़कनों के अंधेरे ये ज़ख़्म ज़ख़्म चराग़
किवाड़ ख़ाली मकानों के खोलती हुई रात

अथाह गहरा अंधेरा ग़ज़ब का सन्नाटा
फ़ज़ा में दर्द का तेज़ाब घोलती हुई रात

किधर से आती है आवारा ख़ुशबुओं की तरह
बरहना जिस्म के साए टटोलती हुई रात

न रतजगों के हैं चर्चे न कोई ग़म का अलाव
सँभल के आए ज़रा घर में डोलती हुई रात

कहाँ से लाएँगे सब्र-ओ-सुकून के लम्हे
कि मेरे घर में है कोहराम तौलती हुई रात

हमारे साथ है तन्हाइयों की भीड़ में 'रिंद'
किसी के लम्स की ख़ैरात रोलती हुई रात

  - P P Srivastava Rind

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by P P Srivastava Rind

As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind

Similar Writers

our suggestion based on P P Srivastava Rind

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari