ham dasht-e-be-karaan ki azaan ho gaye to kya | हम दश्त-ए-बे-कराँ की अज़ाँ हो गए तो क्या

  - P P Srivastava Rind

ham dasht-e-be-karaan ki azaan ho gaye to kya
vehshat mein ab ki baar ziyaan ho gaye to kya

baasi ghutan se ghar ke andhere na kam hue
ham raat jugnuon ki dukaaan ho gaye to kya

uljhan badhi to chand kharaabe khareed laaye
saude mein ab ki baar ziyaan ho gaye to kya

ghar mein hamaare qaid raha zindagi ka shor
ham be-zabaan nazar-e-fughaan ho gaye to kya

ham hain hamaara shehar hai pukhta makaan hai
kuchh maqabre naseeb-e-khizaan ho gaye to kya

sat-rang aasmaan ki dhanak hai tumhaare saath
ham daldali zameen yahan ho gaye to kya

jab dhoop aasmaan ke hujre mein so gai
aaseb teergi ke jawaan ho gaye to kya

patjhad ne jab se maang sajaai hai apni rind
ham sooni raahguzaar ka nishaan ho gaye to kya

हम दश्त-ए-बे-कराँ की अज़ाँ हो गए तो क्या
वहशत में अब की बार ज़ियाँ हो गए तो क्या

बासी घुटन से घर के अँधेरे न कम हुए
हम रात जुगनुओं की दुकाँ हो गए तो क्या

उलझन बढ़ी तो चंद ख़राबे ख़रीद लाए
सौदे में अब की बार ज़ियाँ हो गए तो क्या

घर में हमारे क़ैद रहा ज़िंदगी का शोर
हम बे-ज़बान नज़र-ए-फ़ुग़ाँ हो गए तो क्या

हम हैं हमारा शहर है पुख़्ता मकान है
कुछ मक़बरे नसीब-ए-ख़िज़ाँ हो गए तो क्या

सत-रंग आसमाँ की धनक है तुम्हारे साथ
हम दलदली ज़मीन यहाँ हो गए तो क्या

जब धूप आसमान के हुजरे में सो गई
आसेब तीरगी के जवाँ हो गए तो क्या

पतझड़ ने जब से माँग सजाई है अपनी 'रिंद'
हम सूनी रहगुज़र का निशाँ हो गए तो क्या

  - P P Srivastava Rind

Falak Shayari

Our suggestion based on your choice

More by P P Srivastava Rind

As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind

Similar Writers

our suggestion based on P P Srivastava Rind

Similar Moods

As you were reading Falak Shayari Shayari