aise bhi kuchh lamhe yaaro aayenge
ham mashkook nazar se dekhe jaayenge
neend-bhari aankhen bhi dhoka deti hain
jaagoge to khwaab kahaan se aayenge
un se parda-daari ghar mein mushkil hai
furqat ke lamhe hain aayein jaayenge
dhool hua jaata hai manzar raaton ka
khwaabon ka meaar kahaan se laayenge
sannaata aawaara firta hai ghar mein
ham us ko ab kaam dila kar jaayenge
mandir masjid gurudwaare sab shashdar hain
ab raaste ke patthar pooje jaayenge
dhoop mein baithe senk rahe ho apna badan
ye bhi manzar ab uryaan kahlaayenge
suraj chat se utar gaya to kya gham hai
andhiyaare mein rind kahi so jaayenge
ऐसे भी कुछ लम्हे यारो आएँगे
हम मश्कूक नज़र से देखे जाएँगे
नींद-भरी आँखें भी धोका देती हैं
जागोगे तो ख़्वाब कहाँ से आएँगे
उन से पर्दा-दारी घर में मुश्किल है
फ़ुर्सत के लम्हे हैं आएँ जाएँगे
धूल हुआ जाता है मंज़र रातों का
ख़्वाबों का मेआर कहाँ से लाएँगे
सन्नाटा आवारा फिरता है घर में
हम उस को अब काम दिला कर जाएँगे
मंदिर मस्जिद गुरुद्वारे सब शश्दर हैं
अब रस्ते के पत्थर पूजे जाएँगे
धूप में बैठे सेंक रहे हो अपना बदन
ये भी मंज़र अब उर्यां कहलाएँगे
सूरज छत से उतर गया तो क्या ग़म है
अँधियारे में 'रिंद' कहीं सो जाएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind
our suggestion based on P P Srivastava Rind
As you were reading Fantasy Shayari Shayari