neem ke patton ka zakhamon ko dhuaan de deejie | नीम के पत्तों का ज़ख़्मों को धुआँ दे दीजिए

  - P P Srivastava Rind

neem ke patton ka zakhamon ko dhuaan de deejie
phir meri aankhon ko pahre-daariyaan de deejie

ho sake to ye nawaazish ham faqeeron par karein
bujhte rangon ka hamein ye aasmaan de deejie

shab-paraston ko bhi taskeen-e-ana mil jaayegi
un ka haq hai un ko shab-bedaariyaan de deejie

shaakh par kaanton ko pairaahan badlne ke liye
mausamon ko shabnami be-samtiyaan de deejie

be-hisi ka khushk sa sehra hai aankhon mein meri
dhool-e-manzar se to kuchh tugyaaniyaan de deejie

dhundlake to nauha-khwaani mein bahut masroof hain
raat zakhmi hai use baisaakhiyaan de deejie

aarizi mausam ko bhi ehsaas-e-mahroomi na ho
ghar ke sannaaton ko ehsaas-e-ziyaan de deejie

dhoop mein thodi si gunjaish nikal aaye to rind
ek mutthi chaanv ka hi saaebaan de deejie

नीम के पत्तों का ज़ख़्मों को धुआँ दे दीजिए
फिर मिरी आँखों को पहरे-दारियाँ दे दीजिए

हो सके तो ये नवाज़िश हम फ़क़ीरों पर करें
बुझते रंगों का हमें ये आसमाँ दे दीजिए

शब-परस्तों को भी तस्कीन-ए-अना मिल जाएगी
उन का हक़ है उन को शब-बेदारियाँ दे दीजिए

शाख़ पर काँटों को पैराहन बदलने के लिए
मौसमों को शबनमी बे-सम्तियाँ दे दीजिए

बे-हिसी का ख़ुश्क सा सहरा है आँखों में मिरी
धूल-ए-मंज़र से तो कुछ तुग़्यानीयाँ दे दीजिए

धुँदलके तो नौहा-ख़्वानी में बहुत मसरूफ़ हैं
रात ज़ख़्मी है उसे बैसाखियाँ दे दीजिए

आरिज़ी मौसम को भी एहसास-ए-महरूमी न हो
घर के सन्नाटों को एहसास-ए-ज़ियाँ दे दीजिए

धूप में थोड़ी सी गुंजाइश निकल आए तो 'रिंद'
एक मुट्ठी छाँव का ही साएबाँ दे दीजिए

  - P P Srivastava Rind

Mausam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by P P Srivastava Rind

As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind

Similar Writers

our suggestion based on P P Srivastava Rind

Similar Moods

As you were reading Mausam Shayari Shayari