fazaayein khushk theen ghar ki to baahar kyun nahin dekha
dareechon se vo hangaamon ka manzar kyun nahin dekha
zameen ke khushk lab ye mausamon ka zahar peete hain
to tum ne aasmaanon ka samundar kyun nahin dekha
fazaaon ki kasak se kuchh taqaze bhi badalte hain
havas lamhaat ko tum ne kuchal kar kyun nahin dekha
suna ye hai samundar mein jazeera bhi numayaan the
hata kar baadbaan tum ne thehar kar kyun nahin dekha
jo ghar mein chhod aaya tha kafan odhe hue rishte
na jaane us ne basti ko palat kar kyun nahin dekha
suna hai barf se bhi ungaliyaan logon ki jaltee hain
to tum ne sard angaaron ko choo kar kyun nahin dekha
janaab-e-'rind tum to poojte aaye ho patthar ko
jo darwaaze pe chaspaan hai vo patthar kyun nahin dekha
फ़ज़ाएँ ख़ुश्क थीं घर की तो बाहर क्यों नहीं देखा
दरीचों से वो हंगामों का मंज़र क्यों नहीं देखा
ज़मीं के ख़ुश्क लब ये मौसमों का ज़हर पीते हैं
तो तुम ने आसमानों का समुंदर क्यों नहीं देखा
फ़ज़ाओं की कसक से कुछ तक़ाज़े भी बदलते हैं
हवस लम्हात को तुम ने कुचल कर क्यों नहीं देखा
सुना ये है समुंदर में जज़ीरे भी नुमायाँ थे
हटा कर बादबाँ तुम ने ठहर कर क्यों नहीं देखा
जो घर में छोड़ आया था कफ़न ओढ़े हुए रिश्ते
न जाने उस ने बस्ती को पलट कर क्यों नहीं देखा
सुना है बर्फ़ से भी उँगलियाँ लोगों की जलती हैं
तो तुम ने सर्द अँगारों को छू कर क्यों नहीं देखा
जनाब-ए-'रिंद' तुम तो पूजते आए हो पत्थर को
जो दरवाज़े पे चस्पाँ है वो पत्थर क्यों नहीं देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind
our suggestion based on P P Srivastava Rind
As you were reading Ghar Shayari Shayari