pesh-e-manzar jo tamaashe the pas-e-manzar bhi the
ham hi the maal-e-ghaneemat ham hi ghaarat-gar bhi the
aasteenon mein chhupa kar saanp bhi laaye the log
shehar ki is bheed mein kuchh log baazigaar bhi the
barf-manzar dhool ke baadal hawa ke qahqahe
jo kabhi dahleez ke baahar the vo andar bhi the
aakhir-e-shab dard ki tooti hui baisaakhiyaan
aadhe-tirche zaaviye mausam ke chehre par bhi the
raat ham ne jugnuon ki sab dukanein bech deen
subh ko neelaam karne ke liye kuchh ghar bhi the
kuchh bila-unwaan rishte ajnabi sargoshiyaan
ratjagon ke jashn mein zakhamon ke saudaagar bhi the
shab-paraston ke nagar mein but-parasti hi na thi
vahshatein theen sang-e-marmar bhi tha kaarigar bhi the
is kharaabe mein naye mausam ki saazish thi to rind
lazzat-e-ehsaas ke lamhon ke jalte par bhi the
पेश-ए-मंज़र जो तमाशे थे पस-ए-मंज़र भी थे
हम ही थे माल-ए-ग़नीमत हम ही ग़ारत-गर भी थे
आस्तीनों में छुपा कर साँप भी लाए थे लोग
शहर की इस भीड़ में कुछ लोग बाज़ीगर भी थे
बर्फ़-मंज़र धूल के बादल हवा के क़हक़हे
जो कभी दहलीज़ के बाहर थे वो अंदर भी थे
आख़िर-ए-शब दर्द की टूटी हुई बैसाखियाँ
आड़े-तिरछे ज़ाविए मौसम के चेहरे पर भी थे
रात हम ने जुगनुओं की सब दुकानें बेच दीं
सुब्ह को नीलाम करने के लिए कुछ घर भी थे
कुछ बिला-उनवान रिश्ते अजनबी सरगोशियाँ
रतजगों के जश्न में ज़ख़्मों के सौदागर भी थे
शब-परस्तों के नगर में बुत-परस्ती ही न थी
वहशतें थीं संग-ए-मरमर भी था कारीगर भी थे
इस ख़राबे में नए मौसम की साज़िश थी तो 'रिंद'
लज़्ज़त-ए-एहसास के लम्हों के जलते पर भी थे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by P P Srivastava Rind
our suggestion based on P P Srivastava Rind
As you were reading Mazdoor Shayari Shayari