dar raha sab pe jo sukhanvar hai
sher tegh-e-zabaan ka jauhar hai
baat apni ye sun ke kaan mein daal
aabroo misl-e-aab-e-gauhar hai
ishq bin kya kisi ka dil ho guzaar
mom be-aag dekhe patthar hai
dil ka dena saraasari mat jaan
jaan par khelna saraasar hai
kya mukhalif hai is chaman ki hawa
khaar deta hai jo gul-e-tar hai
nok rakh lo barhana-paai ki
aabaad khaar-e-dasht nashtar hai
ab to jaate hain us gul mein naseem
ho rahega jo kuchh muqaddar hai
दर रहा सब पे जो सुख़नवर है
शेर तेग़-ए-ज़बाँ का जौहर है
बात अपनी ये सुन के कान में डाल
आबरू मिस्ल-ए-आब-ए-गौहर है
इश्क़ बिन क्या किसी का दिल हो गुज़ार
मोम बे-आग देखे पत्थर है
दिल का देना सरासरी मत जान
जान पर खेलना सरासर है
क्या मुख़ालिफ़ है इस चमन की हवा
ख़ार देता है जो गुल-ए-तर है
नोक रख लो बरहना-पाई की
आबाद ख़ार-ए-दश्त नश्तर है
अब तो जाते हैं उस गुल में 'नसीम'
हो रहेगा जो कुछ मुक़द्दर है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
our suggestion based on Pandit Daya Shankar Naseem lakhnavi
As you were reading I love you Shayari Shayari