gudiya si ye ladki
jis ki ujli hasi se
mera aangan damak raha hai
kal jab saath samundar paar chali jaayegi
aur saahili shehar ke surkh chhato waale ghar ke andar
poore chaand ki raushni ban kar bikhregi
ham sab us ko yaad karenge
aur apne ashkon ke sacche motiyon se
saari umr
ik aisa sood utaarte jaayenge
jis ka asl bhi ham par qarz nahin tha
गुड़िया सी ये लड़की
जिस की उजली हँसी से
मेरा आँगन दमक रहा है
कल जब सात समुंदर पार चली जाएगी
और साहिली शहर के सुर्ख़ छतों वाले घर के अंदर
पूरे चाँद की रौशनी बन कर बिखरेगी
हम सब उस को याद करेंगे
और अपने अश्कों के सच्चे मोतियों से
सारी उम्र
इक ऐसा सूद उतारते जाएँगे
जिस का अस्ल भी हम पर क़र्ज़ नहीं था!
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Aurat Shayari Shayari