adl ko bhi mizaan mein rakhna padta hai
har ehsaan ehsaan mein rakhna padta hai
yun hi gyaan ki daulat haath nahin aati
be-dhyaani ko dhyaan mein rakhna padta hai
jab bhi safar par jaane lago to yaad rahe
khud ko bhi samaan mein rakhna padta hai
apne hone aur na hone ka imkaan
honi ke imkaan mein rakhna padta hai
is neele aakaash ko choo lene ke liye
khud ko unchi udaan mein rakhna padta hai
yun hi jang kabhi jeeti nahin ja sakti
qadam apna maidaan mein rakhna padta hai
thodi der tilaavat kar chikne ke b'ad
mor ka par quraan mein rakhna padta hai
kabhi kabhi to naf'a ke laalach mein saahir
khud ko kisi nuksaan mein rakhna padta hai
अद्ल को भी मीज़ान में रखना पड़ता है
हर एहसान एहसान में रखना पड़ता है
यूँ ही ज्ञान की दौलत हाथ नहीं आती
बे-ध्यानी को ध्यान में रखना पड़ता है
जब भी सफ़र पर जाने लगो तो याद रहे
ख़ुद को भी सामान में रखना पड़ता है
अपने होने और न होने का इम्कान
होनी के इम्कान में रखना पड़ता है
इस नीले आकाश को छू लेने के लिए
ख़ुद को ऊँची उड़ान में रखना पड़ता है
यूँ ही जंग कभी जीती नहीं जा सकती
क़दम अपना मैदान में रखना पड़ता है
थोड़ी देर तिलावत कर चिकने के ब'अद
मोर का पर क़ुरआन में रखना पड़ता है
कभी कभी तो नफ़अ के लालच में 'साहिर'!
ख़ुद को किसी नुक़सान में रखना पड़ता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Sahir
our suggestion based on Parvez Sahir
As you were reading Aahat Shayari Shayari