nairangi-e-khayaal pe hairat nahin hui
mujh ko kisi kamaal pe hairat nahin hui
meri tabaah-haali ko bhi dekh kar use
hairat hai mere haal pe hairat nahin hui
poocha tha main ne jab use kya mujh se ishq hai
us ko mere sawaal pe hairat nahin hui
dekha jo ek umr ke b'ad us ne aaina
khud apne khud-o-khaal pe hairat nahin hui
ik umr se main rafta-e-raftaar-e-yaar hoon
mujh ko ram-e-ghazaal pe hairat nahin hui
aakhir ghuroob hona hi tha aaftaab-e-umr
mujh ko mere zawaal pe hairat nahin hui
vo shakhs is jahaan ka tha hi nahin kabhi
saahir ke intiqaal pe hairat nahin hui
नैरंगी-ए-ख़याल पे हैरत नहीं हुई
मुझ को किसी कमाल पे हैरत नहीं हुई
मेरी तबाह-हाली को भी देख कर उसे
हैरत है मेरे हाल पे हैरत नहीं हुई
पूछा था मैं ने जब उसे क्या मुझ से इश्क़ है?
उस को मिरे सवाल पे हैरत नहीं हुई
देखा जो एक उम्र के ब'अद उस ने आइना
ख़ुद अपने ख़द-ओ-ख़ाल पे हैरत नहीं हुई
इक उम्र से मैं रफ़्ता-ए-रफ़्तार-ए-यार हूँ
मुझ को रम-ए-ग़ज़ाल पे हैरत नहीं हुई
आख़िर ग़ुरूब होना ही था आफ़्ताब-ए-उम्र
मुझ को मिरे ज़वाल पे हैरत नहीं हुई
वो शख़्स इस जहान का था ही नहीं कभी
'साहिर' के इंतिक़ाल पे हैरत नहीं हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Sahir
our suggestion based on Parvez Sahir
As you were reading Maut Shayari Shayari