chashm-e-khush-aab ki tamsil nahin ho sakti | चश्म-ए-ख़ुश-आब की तमसील नहीं हो सकती - Parvez Sahir

chashm-e-khush-aab ki tamsil nahin ho sakti
aisi shaffaaf koi jheel nahin ho sakti

meri fitrat hi mein shaamil hai mohabbat karna
aur fitrat kabhi tabdeel nahin ho sakti

us ke dil mein mujhe ik jot jagaana padegi
khud hi raushan koi qindeel nahin ho sakti

sikka-e-daagh o zar-e-gham se bhara hai mera dil
dekh khaali meri zambil nahin ho sakti

is liye shiddat-e-sadmaat mein ro deta hoon
mujh se jazbaat ki tashkeel nahin ho sakti

dukh to ye hai vo mere dukh ko samajhta hi nahin
us tak ehsaas ki tarseel nahin ho sakti

chhod aaya hoon tira daftar-e-darbaar-numa
ab tire hukm ki taameel nahin ho sakti

is kasaafat ki lataafat se bhala kya nisbat
teergi noor mein tahleel nahin ho sakti

laazmi to nahin saahir vo mujhe mil jaaye
yaani har khwaab ki takmeel nahin ho sakti

चश्म-ए-ख़ुश-आब की तमसील नहीं हो सकती
ऐसी शफ़्फ़ाफ़ कोई झील नहीं हो सकती

मेरी फ़ितरत ही में शामिल है मोहब्बत करना
और फ़ितरत कभी तब्दील नहीं हो सकती

उस के दिल में मुझे इक जोत जगाना पड़ेगी
ख़ुद ही रौशन कोई क़िंदील नहीं हो सकती

सिक्का-ए-दाग़ ओ ज़र-ए-ग़म से भरा है मिरा दिल
देख ख़ाली मिरी ज़म्बील नहीं हो सकती

इस लिए शिद्दत-ए-सदमात में रो देता हूँ
मुझ से जज़्बात की तश्कील नहीं हो सकती

दुख तो ये है, वो मिरे दुख को समझता ही नहीं
उस तक एहसास की तर्सील नहीं हो सकती

छोड़ आया हूँ तिरा दफ़्तर-ए-दरबार-नुमा
अब तिरे हुक्म की तामील नहीं हो सकती

इस कसाफ़त की लताफ़त से भला क्या निस्बत?
तीरगी नूर में तहलील नहीं हो सकती

लाज़मी तो नहीं 'साहिर'! वो मुझे मिल जाए
यानी हर ख़्वाब की तकमील नहीं हो सकती

- Parvez Sahir
0 Likes

Jalwa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Sahir

As you were reading Shayari by Parvez Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Sahir

Similar Moods

As you were reading Jalwa Shayari Shayari