koi nazar na pad sake mujh haal-mast par | कोई नज़र न पड़ सके मुझ हाल-मस्त पर - Parvez Sahir

koi nazar na pad sake mujh haal-mast par
baitha hua hoon is liye pichhli nishast par

ik mauj-e-aatishi rag-o-pai mein utar gai
rakha hai us ne jun hi kaf-e-dast dast par

kab raas aayi mujh ko meri fateh ki khushi
main dil-shikasta ho gaya us ki shikast par

hai yaad mujh ko aaj bhi pehla mukaalima
qaaim hoon main to aaj bhi ahad-e-alast par

kaise sanbhaal rakha hai ik zaat ne use
shashdar hoon kaayenaat ke kul band-o-bast par

tay marhala kiya hai adam se vujood ka
pahuncha hoon tab main manzil-e-naa-hast-o-hast par

saahir main apne-aap se aage nikal gaya
hairat-zada hain sab meri roohani jast par

कोई नज़र न पड़ सके मुझ हाल-मस्त पर
बैठा हुआ हूँ इस लिए पिछली निशस्त पर

इक मौज-ए-आतिशीं रग-ओ-पै में उतर गई
रखा है उस ने जूँ ही कफ़-ए-दस्त, दस्त पर

कब रास आई मुझ को मिरी फ़तह की ख़ुशी
मैं दिल-शिकस्ता हो गया उस की शिकस्त पर

है याद मुझ को आज भी पहला मुकालिमा
क़ाइम हूँ मैं तो आज भी अहद-ए-अलस्त पर

कैसे सँभाल रक्खा है इक ज़ात ने उसे
शश्दर हूँ काएनात के कुल बंद-ओ-बस्त पर

तय मरहला किया है अदम से वजूद का
पहुँचा हूँ तब मैं मंज़िल-ए-ना-हस्त-ओ-हस्त पर

'साहिर'! मैं अपने-आप से आगे निकल गया
हैरत-ज़दा हैं सब मिरी रूहानी जस्त पर

- Parvez Sahir
0 Likes

I Miss you Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Sahir

As you were reading Shayari by Parvez Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Sahir

Similar Moods

As you were reading I Miss you Shayari Shayari