sauda-e-ishq yoon bhi utarna to hai nahin | सौदा-ए-इश्क़ यूं भी उतरना तो है नहीं - Parvez Sahir

sauda-e-ishq yoon bhi utarna to hai nahin
ye zakhm-e-rooh hai ise bharna to hai nahin

sau baar aaina bhi jo dekhen to faaeda
soorat ko khud-bakhud hi sanvarna to hai nahin

mujh ko khabar hai dehr mein zinda rahunga main
bullhe ki tarah mar ke bhi marna to hai nahin

jis lehar ko nigal gai ik lehar doosri
us lehar ko dobara ubharna to hai nahin

tu jo yaqeen kar le ki vo hai to phir vo hai
shay ka vujood asl mein warna to hai nahin

dharanaai ki tarah se jo dharna bhi doon to kya
dharti pe us ne phir bhi utarna to hai nahin

karta hoon khud hi mubahas o taqreer se gurez
tark-e-ta'alluq aap se karna to hai nahin

vo jis ko apne-aap se lagta nahin hai dar
us ko khuda ki zaat se darna to hai nahin

kyun us ke intizaar mein baitha hoon der se
is rah-guzar se us ne guzarna to hai nahin

saahir ye mera deeda-e-giriyaan hai aur main
sehra mein koi doosra jharna to hai nahin

सौदा-ए-इश्क़ यूं भी उतरना तो है नहीं
ये ज़ख़्म-ए-रूह है इसे भरना तो है नहीं

सौ बार आइना भी जो देखें तो फ़ाएदा
सूरत को ख़ुद-बख़ुद ही संवरना तो है नहीं

मुझ को ख़बर है दहर में ज़िंदा रहूंगा मैं
'बुल्ल्हे' की तरह मर के भी मरना तो है नहीं

जिस लहर को निगल गई इक लहर दूसरी
उस लहर को दोबारा उभरना तो है नहीं

तू जो यक़ीन कर ले कि वो है तो फिर वो है
शय का वजूद अस्ल में वर्ना तो है नहीं

धरनाई की तरह से जो धरना भी दूं तो क्या
धरती पे उस ने फिर भी उतरना तो है नहीं

करता हूं ख़ुद ही मबहस ओ तक़रीर से गुरेज़
तर्क-ए-तअ'ल्लुक़ आप से करना तो है नहीं

वो जिस को अपने-आप से लगता नहीं है डर
उस को ख़ुदा की ज़ात से डरना तो है नहीं

क्यूं उस के इंतिज़ार में बैठा हूं देर से
इस रह-गुज़र से उस ने गुज़रना तो है नहीं

'साहिर' ये मेरा दीदा-ए-गिर्यां है और मैं
सहरा में कोई दूसरा झरना तो है नहीं

- Parvez Sahir
3 Likes

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Sahir

As you were reading Shayari by Parvez Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Sahir

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari