yun nahin vo nazar nahin aata
ham ko deedaar kar nahin aata
waqt achha zaroor aata hai
par kabhi waqt par nahin aata
sirf rona hi mujh ko aata hai
aur koi hunar nahin aata
jo bhi jaata hai us ke kooche mein
phir vo baar-e-digar nahin aata
us ka jalwa bhi ik tamasha hai
nazar aata hai par nahin aata
us ne jaate hue kaha saahir
waqt phir laut kar nahin aata
यूँ नहीं वो नज़र नहीं आता
हम को दीदार कर नहीं आता
वक़्त अच्छा ज़रूर आता है
पर कभी वक़्त पर नहीं आता
सिर्फ़ रोना ही मुझ को आता है
और कोई हुनर नहीं आता
जो भी जाता है उस के कूचे में
फिर वो बार-ए-दिगर नहीं आता
उस का जल्वा भी इक तमाशा है
नज़र आता है पर नहीं आता
उस ने जाते हुए कहा 'साहिर'!
वक़्त फिर लौट कर नहीं आता
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Sahir
our suggestion based on Parvez Sahir
As you were reading Hunar Shayari Shayari