itna be-aasra nahin hoon main | इतना बे-आसरा नहीं हूँ मैं - Parvez Sahir

itna be-aasra nahin hoon main
aadmi hoon khuda nahin hoon main

hai abhi meri justuju jaari
yaani khud ko mila nahin hoon main

main ne daava kiya na hone ka
mujh ko maaloom tha nahin hoon main

nikal aaya main zaat se baahar
apne andar raha nahin hoon main

main jo hoon main bhi asl mein tum hoon
meri jaan doosra nahin hoon main

tum mujhe jaan hi nahin sakte
aks hoon aaina nahin hoon main

hoon bura maanta hoon main lekin
is qadar bhi bura nahin hoon main

doosron ki to baat hi hai alag
apna bhi ham-nava nahin hoon main

raaz-e-sar-basta ki tarah saahir
abhi khud par khula nahin hoon main

इतना बे-आसरा नहीं हूँ मैं
आदमी हूँ ख़ुदा नहीं हूँ मैं

है अभी मेरी जुस्तुजू जारी
यानी ख़ुद को मिला नहीं हूँ मैं

मैं ने दावा किया न होने का
मुझ को मालूम था नहीं हूँ मैं

निकल आया मैं ज़ात से बाहर
अपने अंदर रहा नहीं हूँ मैं

मैं जो हूँ मैं भी अस्ल में तुम हूँ
मेरी जाँ दूसरा नहीं हूँ मैं

तुम मुझे जान ही नहीं सकते
अक्स हूँ आइना नहीं हूँ मैं

हूँ बुरा, मानता हूँ मैं लेकिन
इस क़दर भी बुरा नहीं हूँ मैं

दूसरों की तो बात ही है अलग
अपना भी हम-नवा नहीं हूँ मैं

राज़-ए-सर-बस्ता की तरह 'साहिर'
अभी ख़ुद पर खुला नहीं हूँ मैं

- Parvez Sahir
0 Likes

Wajood Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parvez Sahir

As you were reading Shayari by Parvez Sahir

Similar Writers

our suggestion based on Parvez Sahir

Similar Moods

As you were reading Wajood Shayari Shayari