nipatenge dil se maarka-e-rah-guzar ke b'ad
lenge safar ka jaaiza khatm-e-safar ke b'ad
uthne ko in ki bazm mein sab ki nazar uthi
itna magar kahunga ki meri nazar ke b'ad
sab zor ho raha hai meri sar-kashi pe sarf
kya hoga haal-e-daar-o-rasan mere sar ke b'ad
koo-e-sitam se guzre to shoreedagaan-e-ishq
hansne lagenge zakham-e-jigar zakham-e-sar ke b'ad
barq-e-sitam ko nazr karoon bhi to kya karoon
ab kya raha hai aag lagaane ko ghar ke b'ad
be-khwab kar rahe hain shab-e-gham ke marhale
aankhen jhapak na jaayen tuloo-e-sehr ke b'ad
hoga taveel aur bhi afsaana-e-wafa
ahl-e-jafaa ke tantanaa-e-mukhtasar ke b'ad
निपटेंगे दिल से मार्का-ए-रह-गुज़र के ब'अद
लेंगे सफ़र का जाएज़ा ख़त्म-ए-सफ़र के ब'अद
उठने को इन की बज़्म में सब की नज़र उठी
इतना मगर कहूँगा कि मेरी नज़र के ब'अद
सब ज़ोर हो रहा है मिरी सर-कशी पे सर्फ़
क्या होगा हाल-ए-दार-ओ-रसन मेरे सर के ब'अद
कू-ए-सितम से गुज़रें तो शोरीदगान-ए-इश्क़
हँसने लगेंगे ज़ख़्म-ए-जिगर ज़ख़्म-ए-सर के ब'अद
बर्क़-ए-सितम को नज़्र करूँ भी तो क्या करूँ
अब क्या रहा है आग लगाने को घर के ब'अद
बे-ख़्वाब कर रहे हैं शब-ए-ग़म के मरहले
आँखें झपक न जाएँ तुलू-ए-सहर के ब'अद
होगा तवील और भी अफ़साना-ए-वफ़ा
अहल-ए-जफ़ा के तन्तना-ए-मुख़्तसर के ब'अद
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parvez Shahidi
our suggestion based on Parvez Shahidi
As you were reading Aanch Shayari Shayari