uski ulfat mein chhupa pahl-e-baatil nikla | उसकी उल्फ़त में छुपा पहलू-ए-बातिल निकला - Pratunj Anwar

uski ulfat mein chhupa pahl-e-baatil nikla
main samajhta tha maseeha jise qaateel nikla

baat jab aayi wafadari o khuddaari ki
anjuman mein koi apna na muqaabil nikla

silsila jiska juda rehta tha toofaanon se
doobne waalon ke haq mein wahi saahil nikla

jinko daava-e-khirdmandi tha naadaan nikle
jisko deewaana samjhte the woh aaqil nikla

usne chaahat bhari nazaron se mujhe jab dekha
mujhko aisa laga pahluu se mera dil nikla

unko samjhaana unhen paana unhen apnaana
kitna aasaan nazar aata tha mushkil nikla

jiske chahre pe lakeeren thi wafadari ki
haaye vo chehra bhi gaddaaron mein shaamil nikla

umr bhar uske tajassus mein raha main anwar
is tagodau ka magar kuchh bhi na haasil nikla

उसकी उल्फ़त में छुपा पहलू-ए-बातिल निकला
मैं समझता था मसीहा जिसे, क़ातिल निकला

बात जब आई वफ़ादारी ओ ख़ुद्दारी की
अन्जुमन में कोई अपना न मुक़ाबिल निकला

सिलसिला जिसका जुड़ा रहता था तूफ़ानों से
डूबने वालों के हक़ में वही साहिल निकला

जिनको दावा-ए-ख़िरदमंदी था नादां निकले
जिसको दीवाना समझते थे वह आक़िल निकला

उसने चाहत भरी नज़रों से मुझे जब देखा
मुझको ऐसा लगा पहलू से मिरा दिल निकला

उनको समझाना उन्हें पाना उन्हें अपनाना
कितना आसान नज़र आता था, मुश्किल निकला

जिसके चहरे पे लकीरें थी वफ़ादारी की
हाए वो चहरा भी ग़द्दारों में शामिल निकला

उम्र भर उसके तजस्सुस में रहा मैं अनवर
इस तगोदौ का मगर कुछ भी न हासिल निकला

- Pratunj Anwar
0 Likes

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Pratunj Anwar

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari