apne hi log apne nagar ajnabi lage | अपने ही लोग अपने नगर अजनबी लगे

  - Qaisar Abbas

apne hi log apne nagar ajnabi lage
waapas gaye to ghar ki har ik shay nayi lage

khaanon mein bat chuki thi samundar ki wusaaten
dariya mohabbaton ke simatti nadi lage

raaton ki bhent chadh gaye vo chaand jaise log
tareekiyo ke dev jinhen kaaghazi lage

sona sametti thi jahaan khetiyon mein dhoop
vo fasl mere gaav ki khaashaak si lage

raavi ki shaam sindh ki nikahri hui sehar
kaam aa sake to un ko meri zindagi lage

qaisar dilon ke faasle aise na the kabhi
do gaam tay karoon to mujhe ik sadi lage

अपने ही लोग अपने नगर अजनबी लगे
वापस गए तो घर की हर इक शय नई लगे

ख़ानों में बट चुकी थी समुंदर की वुसअतें
दरिया मोहब्बतों के सिमटती नदी लगे

रातों की भेंट चढ़ गए वो चाँद जैसे लोग
तारीकियों के देव जिन्हें काग़ज़ी लगे

सोना समेटती थी जहाँ खेतियों में धूप
वो फ़स्ल मेरे गाँव की ख़ाशाक सी लगे

रावी की शाम सिंध की निखरी हुई सहर
काम आ सके तो उन को मिरी ज़िंदगी लगे

'क़ैसर' दिलों के फ़ासले ऐसे न थे कभी
दो गाम तय करूँ तो मुझे इक सदी लगे

  - Qaisar Abbas

Shaam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Abbas

As you were reading Shayari by Qaisar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Abbas

Similar Moods

As you were reading Shaam Shayari Shayari