rote rote aankh hanse to hansne do | रोते रोते आँख हँसे तो हँसने दो

  - Qaisar Abbas

rote rote aankh hanse to hansne do
honton par muskaan ko zinda rahne do

khushiyon ki rut par bhi un ke pahre hain
be-mausam ke phool khilen to khilne do

kitna gahra sannaata hai saahil par
lehron se toofaan uthe to uthne do

jaane kab vo ek musaafir aa pahunchen
chaukhat par ik deep jala kar jalne do

jin khwaabon mein us ki khushboo phaili hai
un khwaabon ko dil mein zinda rahne do

logon se kah do ummeedein zinda hain
qaisar aansu palkon se mat girne do

रोते रोते आँख हँसे तो हँसने दो
होंटों पर मुस्कान को ज़िंदा रहने दो

ख़ुशियों की रुत पर भी उन के पहरे हैं
बे-मौसम के फूल खिलें तो खिलने दो

कितना गहरा सन्नाटा है साहिल पर
लहरों से तूफ़ान उठे तो उठने दो

जाने कब वो एक मुसाफ़िर आ पहुँचे
चौखट पर इक दीप जला कर जलने दो

जिन ख़्वाबों में उस की ख़ुश्बू फैली है
उन ख़्वाबों को दिल में ज़िंदा रहने दो

लोगों से कह दो उम्मीदें ज़िंदा हैं
'क़ैसर' आँसू पलकों से मत गिरने दो

  - Qaisar Abbas

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Abbas

As you were reading Shayari by Qaisar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Abbas

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari