ab door talak yaad ka sehra hai nazar mein
kuchh roz to rahna hai isee raahguzar mein
ham pyaas ke jungle ki kameen-gah se na nikle
dariya-e-inaayat ka kinaara tha nagar mein
kis ke liye haathon ki lakeeron ko ubhaaren
apna to har ik pal hai sitaaron ke asar mein
ab khwaab bhi dekhe nahin jaate ki ye aankhen
bas jaagti rahti hain tire saaya-e-dar mein
kis ke liye pairo'n ko aziyyat mein rakha jaaye
khud dhundh ke tanhaai chali aayi hai ghar mein
phir zill-e-ilaahi ke savaaron ki sada aayi
phir kaun hua moreed-e-ilzaam nagar mein
qaisar bhi saleeb apni uthaaye hue guzra
kahte hain ki khuddaar tha jeene ke hunar mein
अब दूर तलक याद का सहरा है नज़र में
कुछ रोज़ तो रहना है इसी राहगुज़र में
हम प्यास के जंगल की कमीं-गह से न निकले
दरिया-ए-इनायत का किनारा था नगर में
किस के लिए हाथों की लकीरों को उभारें
अपना तो हर इक पल है सितारों के असर में
अब ख़्वाब भी देखे नहीं जाते कि ये आँखें
बस जागती रहती हैं तिरे साया-ए-दर में
किस के लिए पैरों को अज़िय्यत में रखा जाए
ख़ुद ढूँड के तन्हाई चली आई है घर में
फिर ज़िल्ल-ए-इलाही के सवारों की सदा आई
फिर कौन हुआ मोरीद-ए-इल्ज़ाम नगर में
'क़ैसर' भी सलीब अपनी उठाए हुए गुज़रा
कहते हैं कि ख़ुद्दार था जीने के हुनर में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Abbas
our suggestion based on Qaisar Abbas
As you were reading Fantasy Shayari Shayari