khwaabon ka guzar deeda-e-bedaar se hoga
khushboo ka safar har dar-o-deewar se hoga
phir kaasa-e-sar koocha-e-qaatil mein sajenge
ye khel to jaari rasn-o-daar se hoga
har harf se phootegi kiran subh-e-junoon ki
har baab raqam jurat-e-izhaar se hoga
pehchaan sharaafat ki zar-o-maal se hogi
meaar-e-sukhan jubbaa-o-dastaar se hoga
har subh ki nisbat kisi mazloom se hogi
aaghaaz har ik shab ka sitamgaar se hoga
qaisar tire lafzon ki kasak yaad rahegi
andesha-e-dauraan tire ashaar se hoga
ख़्वाबों का गुज़र दीदा-ए-बेदार से होगा
ख़ुश्बू का सफ़र हर दर-ओ-दीवार से होगा
फिर कासा-ए-सर कूचा-ए-क़ातिल में सजेंगे
ये खेल तो जारी रसन-ओ-दार से होगा
हर हर्फ़ से फूटेगी किरन सुब्ह-ए-जुनूँ की
हर बाब रक़म जुरअत-ए-इज़हार से होगा
पहचान शराफ़त की ज़र-ओ-माल से होगी
मेआर-ए-सुख़न जुब्बा-ओ-दस्तार से होगा
हर सुब्ह की निस्बत किसी मज़लूम से होगी
आग़ाज़ हर इक शब का सितमगार से होगा
'क़ैसर' तिरे लफ़्ज़ों की कसक याद रहेगी
अंदेशा-ए-दौरां तिरे अशआर से होगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Abbas
our suggestion based on Qaisar Abbas
As you were reading Khushboo Shayari Shayari