shehar ki rasm hai puraani wahi
saazishein taaza hain kahaani wahi
dard ke mausamon se kya ummeed
sab balaaen hain aasmaani wahi
phir se kheencho hifaazaton ke hisaar
phir hai daryaon ki rawaani wahi
ham faqeeron ke hausale dekho
zakham jitne hon sargiraani wahi
saare aasaar hain judaai ke
surmai shaam hai suhaani wahi
khaar boye to zakham paalenge
waqt dohraayega kahaani wahi
yun to sadiyaan guzar gaeein qaisar
dil ke sadme tiri jawaani wahi
शहर की रस्म है पुरानी वही
साज़िशें ताज़ा हैं कहानी वही
दर्द के मौसमों से क्या उम्मीद
सब बलाएँ हैं आसमानी वही
फिर से खींचो हिफ़ाज़तों के हिसार
फिर है दरियाओं की रवानी वही
हम फ़क़ीरों के हौसले देखो
ज़ख़्म जितने हों सरगिरानी वही
सारे आसार हैं जुदाई के
सुरमई शाम है सुहानी वही
ख़ार बोए तो ज़ख़्म पालेंगे
वक़्त दोहराएगा कहानी वही
यूँ तो सदियाँ गुज़र गईं 'क़ैसर'
दिल के सदमे तिरी जवानी वही
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qaisar Abbas
our suggestion based on Qaisar Abbas
As you were reading Hijr Shayari Shayari