main us maqaam pe hoon jis ko la-makaan kahiye | मैं उस मक़ाम पे हूँ जिस को ला-मकाँ कहिए

  - Qaisar Usmani

main us maqaam pe hoon jis ko la-makaan kahiye
zameen na kahiye use aur na aasmaan kahiye

fazaa-e-dil na mo'attar ho jis se ai hamdam
na bostaan use kahiye na gulistaan kahiye

visaal-e-yaar mayassar na ho to kya gham hai
khayaal-e-yaar to hai jis ko dil-sitaan kahiye

rafeeq jitne the apne vo uth gaye saare
hai kaun bazm mein ab jis ko raazdaan kahiye

chaman mein rah ke bhi qaisar mujhe nahin ma'aloom
bahaar kahiye use ya use khizaan kahiye

मैं उस मक़ाम पे हूँ जिस को ला-मकाँ कहिए
ज़मीं न कहिए उसे और न आसमाँ कहिए

फ़ज़ा-ए-दिल न मोअ'त्तर हो जिस से ऐ हमदम
न बोस्ताँ उसे कहिए न गुलिस्ताँ कहिए

विसाल-ए-यार मयस्सर न हो तो क्या ग़म है
ख़याल-ए-यार तो है जिस को दिल-सिताँ कहिए

रफ़ीक़ जितने थे अपने वो उठ गए सारे
है कौन बज़्म में अब जिस को राज़दाँ कहिए

चमन में रह के भी 'क़ैसर' मुझे नहीं मा'लूम
बहार कहिए उसे या उसे ख़िज़ाँ कहिए

  - Qaisar Usmani

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Usmani

As you were reading Shayari by Qaisar Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Usmani

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari