mujh ko dekha na baat ki koi | मुझ को देखा न बात की कोई

  - Qaisar Usmani

mujh ko dekha na baat ki koi
ye bhi aakhir ada hui koi

muskurana bhi kya gazab hai tira
jaise bijli chamak gai koi

kab se hoon zindagi ke sehra mein
chaanv ab to mile ghani koi

ek shab aur do hon maah-e-tamaam
aaye phir aisi ik ghadi koi

dil ko choone se jo rahe qasir
vo bhi qaisar hai shaay'ri koi

मुझ को देखा न बात की कोई
ये भी आख़िर अदा हुई कोई

मुस्कुराना भी क्या ग़ज़ब है तिरा
जैसे बिजली चमक गई कोई

कब से हूँ ज़िंदगी के सहरा में
छाँव अब तो मिले घनी कोई

एक शब और दो हों माह-ए-तमाम
आए फिर ऐसी इक घड़ी कोई

दिल को छूने से जो रहे क़ासिर
वो भी 'क़ैसर' है शाइ'री कोई

  - Qaisar Usmani

Bijli Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qaisar Usmani

As you were reading Shayari by Qaisar Usmani

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Usmani

Similar Moods

As you were reading Bijli Shayari Shayari