ye tere hijr ki aandhi | ये तेरे हिज्र की आँधी

  - Qaisar Ziya Qaisar

ye tere hijr ki aandhi
kahaan le aayi hai mujh ko
yahan har samt ik suraj
sawaa neze pe jalta hai
na sar se dhoop utarti hai
na saaya koi dhalt hai
hawaa-e-shaam chalti hai
na koi sham'a jaltee hai
falak par nazm aate hain
na to mahtaab aata hai
kisi ki aankh soti hai
na koi khwaab aata hai

ये तेरे हिज्र की आँधी
कहाँ ले आई है मुझ को
यहाँ हर सम्त इक सूरज
सवा नेज़े पे जलता है
न सर से धूप उतरती है
न साया कोई ढलता है
हवा-ए-शाम चलती है
न कोई शम्अ' जलती है
फ़लक पर नज्म आते हैं
न तो महताब आता है
किसी की आँख सोती है
न कोई ख़्वाब आता है

  - Qaisar Ziya Qaisar

Hijrat Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Qaisar Ziya Qaisar

Similar Moods

As you were reading Hijrat Shayari Shayari