alam-b-dast kahi aaina-b-kaf hoon main
tire khilaaf har ik samt saf-b-saf hoon main
mujhe talash na kar tu ki ik zamaana hua
kitaab-e-ishq ke har baab se hazf hoon main
hazaar bhes badalta rahoon magar is paar
kisi chamakti hui aankh ka hadf hoon main
badalta rehta hoon har lamha apne khud-o-khaal
kahi guhar kahi dariya kahi sadaf hoon main
data hua hoon abhi tak mahaaz par shehzaad
agarche haare hue shah ki taraf hoon main
अलम-ब-दस्त कहीं आइना-ब-कफ़ हूँ मैं
तिरे ख़िलाफ़ हर इक सम्त सफ़-ब-सफ़ हूँ मैं
मुझे तलाश न कर तू कि इक ज़माना हुआ
किताब-ए-इश्क़ के हर बाब से हज़फ़ हूँ मैं
हज़ार भेस बदलता रहूँ मगर इस पार
किसी चमकती हुई आँख का हदफ़ हूँ मैं
बदलता रहता हूँ हर लम्हा अपने ख़द-ओ-ख़ाल
कहीं गुहर कहीं दरिया कहीं सदफ़ हूँ मैं
डटा हुआ हूँ अभी तक महाज़ पर 'शहज़ाद'
अगरचे हारे हुए शाह की तरफ़ हूँ मैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Dariya Shayari Shayari