tire aasmaan se azaab kyun nahin tootaa | तिरे आसमाँ से अज़ाब क्यूँ नहीं टूटता

  - Qamar Raza Shahzad

tire aasmaan se azaab kyun nahin tootaa
meri neend aur mera khwaab kyun nahin tootaa

tira zikr karta hoon subh-o-shaam namaaz mein
ye tilism-e-ajr-o-sawaab kyun nahin tootaa

mere khadd-o-khaal bikharte kyun nahin raah mein
tire aaine ka saraab kyun nahin tootaa

tire lafz lafz ki muntazir hain sama'atein
lab-e-husn tera hijaab kyun nahin tootaa

karde mausamon ka hadf hoon main to qamar-razaa
meri shaakh par se gulaab kyun nahin tootaa

तिरे आसमाँ से अज़ाब क्यूँ नहीं टूटता
मिरी नींद और मिरा ख़्वाब क्यूँ नहीं टूटता

तिरा ज़िक्र करता हूँ सुब्ह-ओ-शाम नमाज़ में
ये तिलिस्म-ए-अज्र-ओ-सवाब क्यूँ नहीं टूटता

मिरे ख़द्द-ओ-ख़ाल बिखरते क्यूँ नहीं राह में
तिरे आईने का सराब क्यूँ नहीं टूटता

तिरे लफ़्ज़ लफ़्ज़ की मुंतज़िर हैं समाअ'तें
लब-ए-हुस्न तेरा हिजाब क्यूँ नहीं टूटता

कड़े मौसमों का हदफ़ हूँ मैं तो 'क़मर-रज़ा'
मिरी शाख़ पर से गुलाब क्यूँ नहीं टूटता

  - Qamar Raza Shahzad

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari