tiri tanhaai ka dukh aashkaara ho raha hai | तिरी तन्हाई का दुख आश्कारा हो रहा है

  - Qamar Raza Shahzad

tiri tanhaai ka dukh aashkaara ho raha hai
bichharti saa'aton mein tu hamaara ho raha hai

hisaab-e-dostaan dar-dil agar hai to na jaane
yahan ab kya murattab goshvaara ho raha hai

azaab-e-maslhat ki qaid mein hain log aur tu
samajhta hai yahan sab ka guzaara ho raha hai

kahi se ik kaddi gum hai hamaari guftugoo mein
b-zaahir to ye dukh tarseel saara ho raha hai

agar koi nahin hai aaine ke paar shehzaad
to phir ye kaun ham par aashkaara ho raha hai

तिरी तन्हाई का दुख आश्कारा हो रहा है
बिछड़ती साअ'तों में तू हमारा हो रहा है

हिसाब-ए-दोस्ताँ दर-दिल अगर है तो न जाने
यहाँ अब क्या मुरत्तब गोशवारा हो रहा है

अज़ाब-ए-मस्लहत की क़ैद में हैं लोग और तू
समझता है यहाँ सब का गुज़ारा हो रहा है

कहीं से इक कड़ी गुम है हमारी गुफ़्तुगू में
ब-ज़ाहिर तो ये दुख तर्सील सारा हो रहा है

अगर कोई नहीं है आईने के पार 'शहज़ाद'
तो फिर ये कौन हम पर आश्कारा हो रहा है

  - Qamar Raza Shahzad

Aah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Aah Shayari Shayari