kisi ishq-o-rizq ke jaal mein nahin aayega
ye faqeer ab tiri chaal mein nahin aayega
main manaa to loonga use magar vo ana-parast
meri samt ab kisi haal mein nahin aayega
main kahunga harf-e-talab kuchh aise kamaal se
mera dard mere sawaal mein nahin aayega
kabhi apni ek jhalak mujhe bhi nawaaz de
koi farq tere jamaal mein nahin aayega
yahi mehnaton ka sila raha to phir ai khuda
mujhe lutf-e-rizq-e-halaal nahin aayega
किसी इश्क़-ओ-रिज़्क के जाल में नहीं आएगा
ये फ़क़ीर अब तिरी चाल में नहीं आएगा
मैं मना तो लूँगा उसे मगर वो अना-परस्त
मिरी सम्त अब किसी हाल में नहीं आएगा
मैं कहूँगा हर्फ़-ए-तलब कुछ ऐसे कमाल से
मिरा दर्द मेरे सवाल में नहीं आएगा
कभी अपनी एक झलक मुझे भी नवाज़ दे
कोई फ़र्क़ तेरे जमाल में नहीं आएगा
यही मेहनतों का सिला रहा तो फिर ऐ ख़ुदा
मुझे लुत्फ़-ए-रिज़्क-ए-हलाल नहीं आएगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Khuda Shayari Shayari