ham ne har gham dil-e-sad-chaak se baahar rakha | हम ने हर ग़म दिल-ए-सद-चाक से बाहर रक्खा

  - Qamar Raza Shahzad

ham ne har gham dil-e-sad-chaak se baahar rakha
aag ko pairhan-e-khaak se baahar rakha

zeb-e-tan ham ne bhi kar rakhi ye duniya lekin
tere har rang ko poshaak se baahar rakha

khwaab-dar-khwaab tujhe dhoondhne waalon ne bhi ab
neend ko deeda-e-namunaak se baahar rakha

ik tarah dhyaan hi aisa ki jise ham ne yahan
naf'a nuksaan ke pechaak se baahar rakha

ujrat-e-ishq bahut kam thi sau ham ne shehzaad
dil ko is tangi-e-aflaak se baahar rakha

हम ने हर ग़म दिल-ए-सद-चाक से बाहर रक्खा
आग को पैरहन-ए-ख़ाक से बाहर रक्खा

ज़ेब-ए-तन हम ने भी कर रक्खी ये दुनिया लेकिन
तेरे हर रंग को पोशाक से बाहर रक्खा

ख़्वाब-दर-ख़्वाब तुझे ढूँडने वालों ने भी अब
नींद को दीदा-ए-नमनाक से बाहर रक्खा

इक तरह ध्यान ही ऐसा कि जिसे हम ने यहाँ
नफ़अ' नुक़सान के पेचाक से बाहर रक्खा

उजरत-ए-इश्क़ बहुत कम थी सौ हम ने 'शहज़ाद'
दिल को इस तंगी-ए-अफ़्लाक से बाहर रक्खा

  - Qamar Raza Shahzad

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari