nayi zameen naya aasmaan banaana hai
tire makaan se behtar makaan banaana hai
jo baat sach hai nahin kholni zamaane par
takhayyulaat ko husn-e-bayaan banaana hai
hawa se teri himayat mein guftugoo ke ba'ad
diye ki lau ko tira paasbaan banaana hai
talash karne hain kuchh apne jaise log mujhe
aur ek halka-e-aawaargaan banaana hai
sipurd kar ke kisi ko makaan-e-dil shehzaad
khud apne-aap ko be-khaanumaan banaana hai
नई ज़मीन नया आसमाँ बनाना है
तिरे मकान से बेहतर मकाँ बनाना है
जो बात सच है नहीं खोलनी ज़माने पर
तख़य्युलात को हुस्न-ए-बयाँ बनाना है
हवा से तेरी हिमायत में गुफ़्तुगू के बा'द
दिए की लौ को तिरा पासबाँ बनाना है
तलाश करने हैं कुछ अपने जैसे लोग मुझे
और एक हल्क़ा-ए-आवारगाँ बनाना है
सिपुर्द कर के किसी को मकान-ए-दिल 'शहज़ाद'
ख़ुद अपने-आप को बे-ख़ानुमाँ बनाना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Environment Shayari Shayari