aaina-khaana-e-gumaan ko chhod
tu mere zikr mere dhyaan ko chhod
khilqat-e-shehr jhooth bolti hai
khilqat-e-shehr ke bayaan ko chhod
ranj mat kar alaav bujhne ka
zakham-dar-zakham daastaan ko chhod
is zameen par gulaab-e-wasl khila
baanjh mitti ke aasmaan ko chhod
shaam hone se peshtar shehzaad
tu bhi is jism ke makaan ko chhod
आइना-ख़ाना-ए-गुमान को छोड़
तू मिरे ज़िक्र मेरे ध्यान को छोड़
ख़िल्क़त-ए-शहर झूट बोलती है
ख़िल्क़त-ए-शहर के बयान को छोड़
रंज मत कर अलाव बुझने का
ज़ख़्म-दर-ज़ख़्म दास्तान को छोड़
इस ज़मीं पर गुलाब-ए-वस्ल खिला
बाँझ मिट्टी के आसमान को छोड़
शाम होने से पेशतर 'शहज़ाद'
तू भी इस जिस्म के मकान को छोड़
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Jhooth Shayari Shayari