koi charaagh ata kar koi gulaab utaar | कोई चराग़ अता कर कोई गुलाब उतार

  - Qamar Raza Shahzad

koi charaagh ata kar koi gulaab utaar
vagarna shahr-e-sitam par wahi azaab utaar

zameen-e-shehar ko is darja munjamid kar de
har ek cheekh uthe sar pe aftaab utaar

hamein barhana kiya tu ne har zamaane mein
zameen pe tu bhi kabhi khud ko be-hijaab utaar

har ek haath mein ya kaasa-e-gadaai de
vagarna sab ke liye rizq be-hisaab utaar

main tere noor ka munkir nahin falak waale
magar zameen pe kabhi apna mahtaab utaar

कोई चराग़ अता कर कोई गुलाब उतार
वगर्ना शहर-ए-सितम पर वही अज़ाब उतार

ज़मीन-ए-शहर को इस दर्जा मुंजमिद कर दे
हर एक चीख़ उठे सर पे आफ़्ताब उतार

हमें बरहना किया तू ने हर ज़माने में
ज़मीं पे तू भी कभी ख़ुद को बे-हिजाब उतार

हर एक हाथ में या कासा-ए-गदाई दे
वगर्ना सब के लिए रिज़्क़ बे-हिसाब उतार

मैं तेरे नूर का मुंकिर नहीं फ़लक वाले
मगर ज़मीं पे कभी अपना माहताब उतार

  - Qamar Raza Shahzad

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari