kisi ke aks ko hairaan karna chahta hoon | किसी के अक्स को हैरान करना चाहता हूँ

  - Qamar Raza Shahzad

kisi ke aks ko hairaan karna chahta hoon
main sang-o-aaina yak-jaan karna chahta hoon

buland karta hoon dast-e-dua ki jaise main
kisi ki zaat par ehsaan karna chahta hoon

bahut haqeer hai lekin tujhe ata kar ke
main dil ko takht-e-sulaimaan karna chahta hoon

mujhe ye zindagi dushwaar bhi qubool magar
kahi kahi ise aasaan karna chahta hoon

main aisi kaun si shay kho chuka hoon jis ke evaz
sabhi ko be-sar-o-saamaan karna chahta hoon

किसी के अक्स को हैरान करना चाहता हूँ
मैं संग-ओ-आइना यक-जान करना चाहता हूँ

बुलंद करता हूँ दस्त-ए-दुआ' कि जैसे मैं
किसी की ज़ात पर एहसान करना चाहता हूँ

बहुत हक़ीर है लेकिन तुझे अता कर के
मैं दिल को तख़्त-ए-सुलैमान करना चाहता हूँ

मुझे ये ज़िंदगी दुश्वार भी क़ुबूल मगर
कहीं कहीं इसे आसान करना चाहता हूँ

मैं ऐसी कौन सी शय खो चुका हूँ जिस के एवज़
सभी को बे-सर-ओ-सामान करना चाहता हूँ

  - Qamar Raza Shahzad

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari