hairat hai ki jo zulm se taqdeer banaayein
kuchh log unhen sahab-e-tauqeer banaayein
ik khwaab mein rakhen koi guzra hua lamha
ik khwaab se aainda ki ta'beer banaayein
patthar pe karein naqsh tire hijr ka qissa
paani pe tire vasl ki tasveer banaayein
shaayad kisi zindaan se nikle nahin ab tak
ye log jo kaaghaz pe bhi zanjeer banaayein
ik baar agar baab-e-sukhan ham pe bhi khul jaaye
us shakhs ko bhi mo'taqid-e-'meer banaayein
हैरत है कि जो ज़ुल्म से तक़दीर बनाएँ
कुछ लोग उन्हें साहब-ए-तौक़ीर बनाएँ
इक ख़्वाब में रखें कोई गुज़रा हुआ लम्हा
इक ख़्वाब से आइंदा की ता'बीर बनाएँ
पत्थर पे करें नक़्श तिरे हिज्र का क़िस्सा
पानी पे तिरे वस्ल की तस्वीर बनाएँ
शायद किसी ज़िंदान से निकले नहीं अब तक
ये लोग जो काग़ज़ पे भी ज़ंजीर बनाएँ
इक बार अगर बाब-ए-सुख़न हम पे भी खुल जाए
उस शख़्स को भी मो'तक़िद-ए-'मीर' बनाएँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Hijr Shayari Shayari