wujood-e-khaak se baahar nikaal dega vo | वजूद-ए-ख़ाक से बाहर निकाल देगा वो

  - Qamar Raza Shahzad

wujood-e-khaak se baahar nikaal dega vo
mujhe bhi apne saraape mein dhaal dega vo

main jaanta hoon mohabbat mein haarne ke ba'ad
sabhi ke saamne meri misaal dega vo

shikoh-e-bakht pe masroor shakhs ko aakhir
kisi faqeer ke qadmon mein daal dega vo

main us ke haq mein yahan aakhiri dua-go hoon
mujhe bhi apni safoon se nikaal dega vo

koi to shakl hai maujood mujh mein bhi shehzaad
main sang hoon to mujhe khadd-o-khaal dega vo

वजूद-ए-ख़ाक से बाहर निकाल देगा वो
मुझे भी अपने सरापे में ढाल देगा वो

मैं जानता हूँ मोहब्बत में हारने के बा'द
सभी के सामने मेरी मिसाल देगा वो

शिकोह-ए-बख़्त पे मसरूर शख़्स को आख़िर
किसी फ़क़ीर के क़दमों में डाल देगा वो

मैं उस के हक़ में यहाँ आख़िरी दुआ-गो हूँ
मुझे भी अपनी सफ़ों से निकाल देगा वो

कोई तो शक्ल है मौजूद मुझ में भी 'शहज़ाद'
मैं संग हूँ तो मुझे ख़द्द-ओ-ख़ाल देगा वो

  - Qamar Raza Shahzad

Child labour Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Raza Shahzad

As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Raza Shahzad

Similar Moods

As you were reading Child labour Shayari Shayari