sabhi kuchh khaak mein tahleel hota ja raha hai
chalo ye shehar bhi tabdeel hota ja raha hai
kisi ki guftugoo mein ek vo mafhoom hai jo
haqaaiq se alag tarseel hota ja raha hai
main kaise tark kar doon ab ki ye kaar-e-mohabbat
kisi ke hukm ki taameel hota ja raha hai
main kya tarteeb dena chahta hoon aur mujh se
ye kya hai jo yahan tashkeel hota ja raha hai
nahin khulta ye kaisa khauf hai jo lamha lamha
sabhi ke khoon mein tahleel hota ja raha hai
सभी कुछ ख़ाक में तहलील होता जा रहा है
चलो ये शहर भी तब्दील होता जा रहा है
किसी की गुफ़्तुगू में एक वो मफ़्हूम है जो
हक़ाएक़ से अलग तर्सील होता जा रहा है
मैं कैसे तर्क कर दूँ अब कि ये कार-ए-मोहब्बत
किसी के हुक्म की तामील होता जा रहा है
मैं क्या तरतीब देना चाहता हूँ और मुझ से
ये क्या है जो यहाँ तश्कील होता जा रहा है
नहीं खुलता ये कैसा ख़ौफ़ है जो लम्हा लम्हा
सभी के ख़ून में तहलील होता जा रहा है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Qamar Raza Shahzad
our suggestion based on Qamar Raza Shahzad
As you were reading Gaon Shayari Shayari